hai ye samay vijay ka jai ka
hai ye samay khushi ka
is vijayparv pe
is dasmi pe
jab kiya tha
ram ne ravan ka vadh
mana tha utsav trilok me
mani thi khushiyan devlok me
bhumandal pe aur is
akhil bramhand me..
usi khushiyon ke dhunde aaj
khoje aaj phir se
us anubhuti ko mahsus kare
us ehsaas ko phir se jivit kare
jo kahin rah gayi peeche kosho
jo hai kahin baithi kone me
jagayen usse
nikale usse
aur manaye ye vijay
apne un sanskaro se
apne un maryadayon ke saath
jo kahti hai ki..
khusiyan to hai apno ke saath
apne jahan kahin bhi hain
un ke saath...
is vijay parv ko manayen
pure pavitra vicharo se
is vijay parv ko manaye
is khusi ko manaye..
ki ab hai samay achayiyon ka
ki ab hai samay roshni ka
manyaye vijayutsav
manaye vijayutsav
No comments:
Post a Comment