Sunday, October 23, 2011

KAHAN HOON MEIN

KAHAN HOON MEIN.

KAH NAHI SAKTA KI KAHAN HOON..
YE DHARTI YE DUNIYA PE..
NA JANE KIS ANJAN SHAHER MEIN HOON..
NA KOI HAI YAHAN...JO HAMARA HAI
KAHNE KO SAB HUMARA HAI....
KAH NAHI SAKTA KI KAHAN HOON ..

ABHI IS JAGAH SE THI KUCH UMEEDEN
ABHI IS JAGAH SE THA KUCH PYAR
AB SAMAJH ME AAYA KI 
YE SAB THA EK PYARA SA ANDH VYAPAR..
KAH NAHI SAKTA KI KAHAN HOON ...

JO KUCH SOCHA THA YAHAN SE ..
MILA KUCH ..KUCH UMEEDEN TOOTI..
KUCH HAATH AAYA  ..KUCH RET KI BHANTI PHISLE..
SAB KUCH MUTHI MEIN THA LEKIN .
PANI KI TARAH BAH NIKLI..
KAH NAHI SAKTA KI KAHAN HOON..

KAISE ROKUN US SAILAB KO..
KAISE PUKARUN US SITARE KO..
JO HAI ASMANI...SUNE NA SUNE..
UMEEDON KO KYON PHIR SE JALAUN
KAISE KAHUN KI KAHAN HOON ..

THAHER GAYE WO SAB SAPNE..
RUK GAYI WO SARI KAHANI..
SOCH RAHA HOON KI EK DIYA JALAUN
PHIR SE KUCH AAS JAGAUN..
KUCH AAS KYA HONGI PURI ??
IS JAGAH IS JAHAN SE..
KUCH APNO SE KUCH SAPNO SE..
KAISE KAHU KI KAHAN HOON

KAISE KAHUN KI KAHAN HOON..
KAHAN HOON MEIN.

AAIB JAU

AAIB JAU.....
AAIB JAU AAB TA AAIB JAU..
CHI HUM ESGAR ...CHI HUM UDAS..
MON MEN KA RAHAL CHI AAHAN KE VISHWASH..
CHUKAL AB SAB AAS..
NAI ACHI AAB KICH HUMAR PRAYAS...


AAIB JAU..
AAIB JAU..AAB TA AAIB JAU..
KA RAHAL CHI HUM EK VICHAR..
SANG AAHUN KE AHI MEIN ACHI AADHAR....
HUM ESGAR NAI KA SAKAB E PRAYAS....
KAHU AAHAN CHI HUMAR VISHWASH....


AAIB JAU..
AAB TA AAIB JAU..

Wednesday, October 12, 2011

NADANIYAN

na khafa hoiye in nadaniyo pe...wo kya hai ki naadaniyan hin kabhi kabhi sabab ban jati hai bewajah dushwariyon ki..

hum unko ye batane ki bhool kar baithe .. hum unhe pyar sikhane ki bhool kar baithe .. jo pahle se hin pyar ke mashiha hain.. na jane kyon unhe hum deewana banane ki seekh de baithe...


wo shaam dhalte hin ek tanhai si chaati hai..
wo jinko dekh ke udasi bhagti hai...
unka naam lete hain ..aur dil se yaad karte hain...
bas...tabhi ek aawaj aati hai...
wo kahte hain..me door kahan..
dekho dil me is shaam ke sayye me
mera bhi rang ghula hai..mera bhi yaad mila hai..
isliye na ho udaas ..
ye to bas samay ka dhundhalka hai..
jo yun hin gujar jayega...aur phir apne sang bahar le ke aayega
wo shaam dhalte hin..

Friday, October 7, 2011

MOBILE MERA

MOBILE MERA ..JO THA BADA PYARA
KHO GAYA ACHANAK..EK SHAM BHEED ME..
AUR JAISE..
RUK SI GAYI JINDAGI..RUK SA GAYA JAHAN..
THAM GAYE KADAM ..RAH GAYA BAS DHUNA
MOBILE MERA .JO THA BADA PYARA
US ME SAB THE..APNE PARAYE..JANE ANJANE
AB..
JAISE KAT GAYA SAB SE..DUR HO GAYA JAHAN SE
KISE KAHUN..AUR KAISE..JO THA ..WO TO GAYA
SANG MOBILE KE..
BADA PYARA MOBILE MERA
AB TO JAISE ..
KAHIN NAHI KUCH SUHATA
LAG RAHA JAISE GUM GAYA YE MERA KINAARA
NA JANE KYON..HO GAYA NIRBHAR ITNA
US BEJAN SI CHIJ PE..JO JANE ANJANE LOGON SE
APNE PARAYE SAB SE BATON KA EK JARIYA THA..
MOBILE MERA BADA PYARA..
AB TO JAISE KHO GAYI ZINDAGI..JAISE KHO GAYA JAHAN
MOBILE MERA..BADA PYARA

Thursday, October 6, 2011

SAVERA

SUNHARI KIRNE MADHAM ROSHNI
MAND PAWAN
MAND MANDAKINI
MAND MAND HAI GATI YE PRAKRITI
AAYA HAI NAV PRABHAT
MAND MAND LE KAR KUCH MAND SA BADLAO
KAR LE KUCH 
PA LE KUCH 
JEEVAN ME HUM BHI
MAND SA UPHAR
JO DIYA HAI IS PRAKRITI NE
DIL KHOL KE SUNHARA YE SANSAR
NAV PRABHAT
SUNHARI KIRNE
SUNHARE PRAKASH
LE KAR AAYA NAV PRABHAT

VIJAYUTSAV

hai ye samay vijay ka jai ka
hai ye samay khushi ka
is vijayparv pe 
is dasmi pe
jab kiya tha
ram ne ravan ka vadh
mana tha utsav trilok me
mani thi khushiyan devlok me
bhumandal pe aur is 
akhil bramhand me..
usi khushiyon ke dhunde aaj
khoje aaj phir se
us anubhuti ko mahsus kare
us ehsaas ko phir se jivit kare
jo kahin rah gayi peeche kosho
jo hai kahin baithi kone me
jagayen usse
nikale usse
aur manaye ye vijay
apne un sanskaro se
apne un maryadayon ke saath
jo kahti hai ki..
khusiyan to hai apno ke saath
apne jahan kahin bhi hain
un ke saath...
is vijay parv ko manayen
pure antarmann se
pure pavitra vicharo se
is vijay parv ko manaye
is khusi ko manaye..
ki ab hai samay achayiyon ka
ki ab hai samay roshni ka
manyaye vijayutsav
manaye vijayutsav